kyā tujh par bhī bechainī sī taarī hai
mujh par to ye hijr bahut hī bhārī hai
bhāgo bhāgo duniyā ke pīchhe bhāgo
mujh ko mujh meñ rahne kī bīmārī hai
be-adabī kī baat adab se karte haiñ
kam-zarfoñ meñ kis had tak makkārī hai
jis shohrat par tum itnā itrāte ho
maiñ ne us ko har dam Thokar maarī hai
terā ġham hai jo likhvātā rahtā hai
varna mujh meñ kab itnī fankārī hai