be-niyāzī ke silsile meñ huuñ
maiñ kahāñ ab tire nashe meñ huuñ
hijr terā mujhe satātā hai
aur baaqī to bas maze meñ huuñ
DhūñDh mat in udaas āñkhoñ meñ
ġhaur kar tere qahqahe meñ huuñ
vo mujhe ab bhī chāhtā hogā
maiñ abhī tak muġhālate meñ huuñ
har taraf mahfileñ ḳhayāloñ kī
ishq ke shāhī mahkame meñ huuñ
toḌ kar hī nikāl le koī
qaid maiñ apne dā.ere meñ huuñ
us ko manzil bhī mil ga.ī apnī
aur maiñ huuñ ki rāste meñ huuñ