Poonam Yadav

dard ki ek kitab hai koi

Poonam Yadav

Rajasthan, India

1984
dard kī ik kitāb hai koī
zindagī iztirāb hai koī
tīrgī kī adā batātī hai
daañv par māhtāb hai koī
ho gayā jis ko vo huā tanhā
ishq bhī ik azaab hai koī
terī jānib hī khīñch laatī hai
yaad jaise sarāb hai koī
us kā ḳhāmosh dekhnā bhar hī
ik mukammal javāb hai koī
jī rahā hai magar nahīñ jiitā
yuuñ bhī ḳhāna-ḳharāb hai koī
haa.e tahrīr us kī āñkhoñ kī
go ki mushkil kitāb hai koī
tū mere sāmne rahe phir bhī
maiñ samajhtī huuñ ḳhvāb hai koī
tishnagī aur baḌhtī jaatī hai
terī qurbat sarāb hai koī
Top Urdushayar.com