baaqī sab kuchh duniyā meñ be-ma.anī hai
merī nazar meñ ik tū hī lā-sānī hai
roz badal kar chehre kyuuñ dikhlātā hai
terī har sūrat jānī-pahchānī hai
saath rahe jyuuñ koī kināre nadiyā ke
qismat kī bhī dekho kyā man-mānī hai
dard kā mausam phir se lauTā hai shāyad
āñkhoñ ke dariyā par ḳhuub ravānī hai
ġham aañsū tanhā.ī shikve bechainī
is duniyā meñ sab kī ek kahānī hai