Naseeruddin

sarhad-e-awaz dil ka dur se patthar na dekh

Naseeruddin

sarhad-e-āvāz dil kā duur se patthar na dekh
tā.ir-e-shauq-e-navā tūfān ke tevar na dekh
matla-e-anvār hai go aaj terā āsmāñ
Dūbte sūraj kī kirnoñ ko magar tan kar na dekh
de lab-e-ḳhāmosh tak aa.ī huī bātoñ pe dhyān
gar sar-e-mizhgāñ khulā ik dard kā daftar na dekh
barg-e-ḳhushk-o-tar rah-e-zer-o-zabar ik vāhima
ai adā-e-kajravī ab shoḳhī-e-sarsar na dekh
us ke jalvoñ se pare ik dard kī āvāz sun
ḳhvāb kī ta.abīr se Dar ḳhvāb kā mehvar na dekh
sāf-goī juzv-e-īmāñ hai to 'nāsir' be-jhijak
jī meñ jo aa jaa.e kah de jānib-e-mimbar na dekh
Top Urdushayar.com