Naseeruddin

yun Thani raat teri yaad se takrar-e-KHayal

Naseeruddin

yuuñ Thanī raat tirī yaad se takrār-e-ḳhayāl
gungunātī rahī har aan shab-e-tār-e-ḳhayāl
chhoḌ kar mere dar-o-bām vo mastūr to hai
ban ke rahtā hai magar naqsh-ba-dīvār-e-ḳhayāl
maañd paḌne lagī jab ā.īna-e-dil kī jilā
ek hī aks dikhāne lagā zañgār-e-ḳhayāl
ho ke ḳhushbū-e-gul-e-rāz uḌegā ik din
kab talak qaid rahegā pas-e-dīvār-e-ḳhayāl
tujh se qaa.em hai mirā silsila-e-vahm-o-yaqīñ
tujh ko dekhūñgā kisī roz sar-e-dār-e-ḳhayāl
harf-o-ma.anī kī tag-o-dau kā natīja ye huā
apnī aahaT se bhī Darne lagā rahvār-e-ḳhayāl
na kahīñ jins-e-girāñ hai na ḳharīdār koī
kaisā sunsān paḌā rahtā hai bāzār-e-ḳhayāl
nukta-chīñ dil na thā aur rāh-e-safar mushkil thī
log har moḌ pe karte rahe iz.hār-e-ḳhayāl
yaad aayā mujhe us shaḳhs kā jaanā 'nāsir'
jis kī sharminda-e-ehsān hai raftār-e-ḳhayāl
Top Urdushayar.com