sadāqatoñ ke dahakte sho.aloñ pe muddatoñ tak chalā kiye ham
zamīr ko thapthapā ke āḳhir sulā diyā aur ḳhush rahe ham
ridā-e-giriyā pe tā-qayāmat nisār hote raheñge dariyā
sabīl-e-ḳhūn-e-jigar se nādār sāhiloñ ko bhigo chale ham
safar thā jab raushnī kī jānib to phir ma.āl-e-safar kā kyā ġham
charāġh kī tarah saarī shab shaan se jale sub.h bujh ga.e ham
'fuzail' shā.er mudīr naqqād sab ba-zāhir the ham hī lekin
hamāre andar thā aur ik shaḳhs jis se paiham laḌā kiye ham