Fuzail Jafri

tez aandhi raat andhyari akela rah-rau

Fuzail Jafri

1936
tez āñdhī raat añdhyārī akelā rāh-rau
baḌh rahā hai sochtā Dartā jhijaktā rāh-rau
manzileñ samteñ badaltī jā rahī haiñ roz o shab
is bharī duniyā meñ hai insān tanhā rāh-rau
kuchh to hai jo shahr meñ phirtā hai ghabrātā huā
be-ḳhabar varna bhare jañgal se guzrā rāh-rau
khiḌkiyāñ khulne lagīñ darvāze vā hone lage
jab bhī guzrā raah se koī sajīlā rāh-rau
ḳhizr kī sī umr varna kaise tanhā kāTte
be-sahārā rāstoñ kā haiñ sahārā rāh-rau
baḳhsh hī de koī shāyad gesuoñ kī narm chhāñv
har na.ī bastī meñ ThoḌī der Thahrā rāh-rau
koī manzil āḳhirī manzil nahīñ hotī 'fuzail'
zindagī bhī hai misāl-e-mauj-e-dariyā rāh-rau
Top Urdushayar.com