Fuzail Jafri

naumid kare dil ko na manzil ka pata de

Fuzail Jafri

1936
naumīd kare dil ko na manzil kā patā de
ai rah-guzar-e-ishq tire kyā haiñ irāde
har raat guzartā hai koī dil kī galī se
oḌhe hue yādoñ ke pur-asrār libāde
ban jaatā huuñ sar-tā-ba-qadam dast-e-tamannā
Dhal jaate haiñ ashkoñ meñ magar shauq irāde
us chashm-e-fusūñ-gar meñ nazar aatī hai aksar
ik ātish-e-ḳhāmosh ki jo dil ko jalā de
āzurda-e-ulfat ko ġham-e-zindagī jaise
tapte hue jañgal meñ koī aag lagā de
yādoñ ke mah-o-mehr tamannāoñ ke bādal
kyā kuchh na vo sauġhāt sar-e-dasht-e-vafā de
yaad aatī hai us husn kī yuuñ 'ja.afarī' jaise
tanhā.ī ke ġhāroñ se koī ḳhud ko sadā de
Top Urdushayar.com