dil mutma.in hai harf-e-vafā ke baġhair bhī
raushan hai raah nūr-e-sadā ke baġhair bhī
ik ḳhauf sā daraḳhtoñ pe taarī thā rāt-bhar
patte laraz rahe the havā ke baġhair bhī
ghar ghar vabā-e-hirs-o-havas hai to kyā huā
marte haiñ log roz vabā ke baġhair bhī
maiñ saarī umar lafzoñ se kambal na bun sakā
kaTtī hai raat ya.anī ridā ke baġhair bhī
ehsās-e-jurm jaan kā dushman hai 'ja.afarī'
hai jism taar taar sazā ke baġhair bhī