rishta jigar kā ḳhūn-e-jigar se nahīñ rahā
mausam tavāf-e-kūchā-o-dar kā nahīñ rahā
dil yuuñ to gaah gaah sulagtā hai aaj bhī
manzar magar vo raqs-e-sharar kā nahīñ rahā
majbūr ho ke jhukne lagā hai yahāñ vahāñ
ye sar bhī tere ḳhāk-ba-sar kā nahīñ rahā
ghar kā to ḳhair zikr hī kyā hai ki zehn meñ
naqsha bhī us bhare-pure ghar kā nahīñ rahā
bāñdhā kisī ne raḳht-e-safar is tarah ki ab
dil ko 'fuzail' shauq safar kā nahīñ rahā