ātish-fishāñ zabāñ hī nahīñ thī badan bhī thā
dariyā jo munjamid hai kabhī maujzan bhī thā
maiñ apnī ḳhvāhishoñ se vafādār thā so huuñ
ġham varna dil-ḳharāsh bhī ḳhvāhish-shikan bhī thā
kaale ḳhamosh paanī ko ehsās tak nahīñ
chehre pe marne vaale ke ik bāñkpan bhī thā
kis tarah mahr o maah ko karte alag 'fuzail'
sho.ala-nafas jo thā vahī gul-pairahan bhī thā