Fuzail Jafri

guzar rahi hai magar KHase iztirab ke sath

Fuzail Jafri

1936
guzar rahī hai magar ḳhāse iztirāb ke saath
ḳhayāl bhī nazar aane lage haiñ ḳhvāb ke saath
talāsh meñ huuñ kisī khurdure kināre kī
nibāh ab nahīñ hotā hubāb-o-āb ke saath
shab-e-firāq hai 'sīdhdhārth' kī tarah gum-sum
havās bhī hue ruḳhsat tire hijāb ke saath
ta.alluqāt kā tanqīd se hai yārāna
kisī kā zikr kare kaun ehtisāb ke saath
juḌī huī hai har ik shaḳhs kī 'fuzail' yahāñ
ġharaz kisī na kisī sāhab-e-nisāb ke saath
Top Urdushayar.com