diloñ ke aa.ine dhuñdle paḌe haiñ
bahut kam log ḳhud ko jānte haiñ
ḳhizāñ ke ḳhushk pattoñ ko na chheḌo
thake-māñde musāfir so rahe haiñ
hamārī ġham-gusārī meñ shab-e-ġham
charāġh āhista āhista jale haiñ
nishāñ paatā nahīñ koī kisī kā
sabhī ik dūsre ko DhūñDte haiñ
bas ik mauj-e-havā-e-ġham hai kaafī
irāde kyā gharauñde ret ke haiñ
ḳhudā dil kā nagar ābād rakhe
hazāroñ tarah ke ġham pal rahe haiñ
shab-e-mahtāb yādeñ gul-ruḳhoñ kī
safīne mauj-e-ḳhūñ meñ tairte haiñ