Fuzail Jafri

hai ibarat jo gham-e-dil se wo wahshat bhi na thi

Fuzail Jafri

1936
hai ibārat jo ġham-e-dil se vo vahshat bhī na thī
sach hai shāyad ki hameñ us se mohabbat bhī na thī
zindagī aur pur-asrār huī jaatī hai
ishq kā saath na hotā to shikāyat bhī na thī
tujh se chhuT kar na kabhī pyaar kisī se karte
dil ke bahlāne kī lekin koī sūrat bhī na thī
ġhhor-añdheroñ meñ ḳhud apne ko sadā de lete
raah chalte hue logoñ meñ ye jur.at bhī na thī
zid meñ duniyā kī bahar-hāl milā karte the
varna ham donoñ meñ aisī koī ulfat bhī na thī
mar miTe log sar-e-rah-guzar-e-ishq 'fuzail'
apne hisse meñ ye chhoTī sī sa.ādat bhī na thī
Top Urdushayar.com