ruḳh havāoñ ke kisī samt hoñ manzar haiñ vahī
Topiyāñ rañg badaltī haiñ magar sar haiñ vahī
jin ke ajdād kī mohreñ dar-o-dīvār pe haiñ
kyā sitam hai ki bhare shahr meñ be-ghar haiñ vahī
phuul hī phuul the ḳhvāboñ meñ sar-e-vādi-e-shab
sub.h-dam rāhoñ meñ jalte hue patthar haiñ vahī
naav kāġhaz kī chalī kaaTh ke ghoḌe dauḌe
sho.abda-bāzī ke sach pūchho to daftar haiñ vahī
bik ga.e pichhle dinoñ sāhib-e-ālam kitne
ham faqīroñ ke magar 'ja.afarī' tevar haiñ vahī