chamakte chāñd se chehroñ ke manzar se nikal aa.e
ḳhudā hāfiz kahā bosa liyā ghar se nikal aa.e
ye sach hai ham ko bhī khone paḌe kuchh ḳhvāb kuchh rishte
ḳhushī is kī hai lekin halqa-e-shar se nikal aa.e
agar sab sone vaale mard aurat pāk-tīnat the
to itne jānvar kis tarah bistar se nikal aa.e
dikhā.ī de na de lekin haqīqat phir haqīqat hai
añdhere raushnī ban kar samundar se nikal aa.e