Fuzail Jafri

nibhegi kis tarah dil sochta hai

Fuzail Jafri

1936
nibhegī kis tarah dil sochtā hai
ajab laḌkī hai jab dekho ḳhafā hai
ba-zāhir hai use bhī pyaar vaise
diloñ ke bhed se vāqif ḳhudā hai
ye tanhā.ī kā kaalā sard patthar
isī se umr-bhar sar phoḌnā hai
magar ik baat donoñ jānte haiñ
na kuchh us ne na kuchh ham ne kahā hai
nahīñ mumkin agar saath umr-bhar kā
ye pal-do-pal kā milnā kyā burā hai
ghane jañgal meñ jaise shaam utre
koī yuuñ 'ja.afarī' yaad aa rahā hai
Top Urdushayar.com