bas ek vaqt kā ḳhanjar mirī talāsh meñ hai
jo roz bhes badal kar mirī talāsh meñ hai
adhūre ḳhvāboñ se uktā ke jis ko chhoḌ diyā
shikan-nasīb vo bistar mirī talāsh meñ hai
aziiz huuñ maiñ tujhe kis qadar ki har ik ġham
tirī nigāh bachā kar mirī talāsh meñ hai
maiñ ek qatra huuñ merā alag vajūd to hai
huā kare jo samundar mirī talāsh meñ hai
vo ek saaya hai apnā ho yā parāyā ho
janam janam se barābar mirī talāsh meñ hai
maiñ jis ke haath meñ ik phuul de ke aayā thā
usī ke haath kā patthar mirī talāsh meñ hai
vo jis ḳhulūs kī shiddat ne maar Daalā 'nūr'
vahī ḳhulūs mukarrar mirī talāsh meñ hai