mire dil kī dhaḌak us ke tabassum par garāñ kyuuñ ho
maiñ afsāna huuñ us kā vo mirā afsāna-ḳhvāñ kyuuñ ho
mire kaam aa ga.ī āḳhir mirī kāshāna-bar-doshī
lapaktī bijliyoñ kī zad pe merā āshiyāñ kyuuñ ho
kināroñ se guzar jaanā hī tūfānoñ kī fitrat hai
jahāñ duniyā Thahar jaa.e qadam merā vahāñ kyuuñ ho
tirā jalva bhī jab terā hī parda hotā jaatā hai
to phir merī nigāhoñ par nigāhoñ kā gumāñ kyuuñ ho
na maiñ vārafta-e-mutrib na maiñ jāñ-dāda-e-sāqī
agar mahfil se uTh jā.ūñ to mahfil bad-gumāñ kyuuñ ho
maiñ jis aalam meñ huuñ apnī jagah ai 'shor' tanhā huuñ
judā ho jis kī manzil vo rahīn-e-kārvāñ kyuuñ ho