Manzoor Husain shor

mujhe ai ham-nafas andesha-e-barq-o-KHizan kyun ho

Manzoor Husain shor

Amravati, Maharashtra, India

1916-1994
mujhe ai ham-nafas andesha-e-barq-o-ḳhizāñ kyuuñ ho
mirī parvāz mahdūd-e-fazā-e-gulsitāñ kyuuñ ho
junūñ kī vus.atoñ par tañg hai arsa do-ālam kā
jo sajda ho to phir sajda ba-qaid-e-āstāñ kyuuñ ho
mire kaam aa ga.ī āḳhir mirī kāshāna-bar-doshī
sharār-o-barq kī zad par bhī merā āshiyāñ kyuuñ ho
ġham-e-dil bhī jo rusvā-e-mazāq-e-ām ho jaa.e
to phir in dāstānoñ meñ hamārī dāstāñ kyuuñ ho
pyāloñ kī khanak se bhī jahāñ dil TuuT jaate haiñ
vahāñ chhāyā huā har bazm par ḳhvāb-e-girāñ kyuuñ ho
na maiñ jāñ-dāda-e-sāqī na maiñ vārafta-e-mutrib
agar mahfil se uTh jā.ūñ to mahfil bad-gumāñ kyuuñ ho
maiñ jis aalam meñ huuñ apnī jagah ai 'shor' tanhā huuñ
judā ho jis kī manzil vo rahīn-e-kārvāñ kyuuñ ho
Top Urdushayar.com