Manzoor Husain shor

wajh-e-taskin-e-junun wasl-e-nigaran bhi nahin

Manzoor Husain shor

Amravati, Maharashtra, India

1916-1994
vaj.h-e-taskīn-e-junūñ vasl-e-nigārāñ bhī nahīñ
ishq āsāñ hai magar is qadar āsāñ bhī nahīñ
har tajallī ke liye zarf-e-nazar hai darkār
jalva arzāñ hai magar is qadar arzāñ bhī nahīñ
jaane kyā soch ke har raah meñ ruk jaatā huuñ
us se milne kā kisī moḌ pe imkāñ bhī nahīñ
har nafas khīñch rahā hai koī rag rag se lahū
aur nashtar koī paivast-e-rag-e-jāñ bhī nahīñ
qāfile haiñ ki guzarte hī chale jaate haiñ
manzileñ haiñ ki kisī samt numāyāñ bhī nahīñ
gul kā kyā zikr ki ai dost mire dāman par
ek muddat se kisī ḳhaar kā ehsāñ bhī nahīñ
kaun samjhegā mire zarf-e-junūñ kī vus.at
maiñ pareshāñ huuñ mirā haal pareshāñ bhī nahīñ
tū ye ilzām mire zarf-e-junūñ par na tarāsh
ishq kāfir bhī nahīñ ishq musalmāñ bhī nahīñ
'shor' uThā duuñ maiñ gul-o-lāla ke parde lekin
yaañ koī mahram-e-asrār-e-gulistāñ bhī nahīñ
Top Urdushayar.com