hadd-e-nazar tak raat hī raat
aisā safar aur terā saat
mauj-o-havā kī samt na dekh
jaltī rahegī sham-e-hayāt
zarf-e-kufr-o-īmāñ tañg
tez sharāb-e-ehsāsāt
mujh ko ik insāñ kī talāsh
tū masrūf-e-zāt-o-sifāt
merī jabīñ par bhī haiñ 'shor'
kuchh sajdoñ ke ilzāmāt