Manzoor Husain shor

wo mere gham mein bhi KHandan nahin hone pata

Manzoor Husain shor

Amravati, Maharashtra, India

1916-1994
vo mire ġham meñ bhī ḳhandāñ nahīñ hone paatā
haa.e vo kufr jo īmāñ nahīñ hone paatā
vo nasheman ki jo barbād-e-bahārāñ ho jaa.e
vo kahīñ soḳhta-sāmāñ nahīñ hone paatā
ho agar hosh bhī ehsās-e-bahārāñ meñ sharīk
chaak apnā bhī garebāñ nahīñ hone paatā
itnī āsāñ bhī ġham-e-dost kī takmīl nahīñ
ghar bhī ujḌe to bayābāñ nahīñ hone paatā
yuuñ bhī ik umr guzar jaatī hai milte milte
ek ko ek kā irfāñ nahīñ hone paatā
'shor' ḳhāmosh nahīñ mere hī zindāñ ke charāġh
shahr-e-ḳhūbāñ bhī charāġhāñ nahīñ hone paatā
Top Urdushayar.com