ḳhizr-e-manzil na thā ibn-e-mariyam na thā
ġham jahāñ thā koī shāmil-e-ġham na thā
dil ko apnī tabāhī kā kuchh ġham na thā
us kī āñkhoñ kā irshād mub.ham na thā
is se pahle bhī sau baar dhaḌkā thā dil
dil dhaḌakne kā lekin ye aalam na thā
kab falak par sitāre farozāñ na the
kab zamīñ par sitāroñ kā mātam na thā
jām-e-jam meñ jo sadiyoñ sulagtā rahā
aur kyā thā agar ḳhūn-e-ādam na thā
us ne pūchhā na thā 'shor' jab tak mizāj
aañkh nam nam na thī dard kam kam na thā