nāla-bar-lab haram se nikalnā paḌā
ik duā maañg kar haath malnā paḌā
rahguzar meñ na thā āshnā koī shaḳhs
phir bhī har shaḳhs ke saath chalnā paḌā
kaisī shabnam kahāñ ke nasīm-o-sahāb
apne sho.ale meñ har gul ko jalnā paḌā
ādatan ḳhizar ke saath duniyā chalī
fitratan ham ko aage nikalnā paḌā
chalte chalte jahāñ 'shor' ham ruk ga.e
apnā ruḳh hādsoñ ko badalnā paḌā