Manzoor Husain shor

dam-e-barq-o-baad hota nafas-e-sharar hota

Manzoor Husain shor

Amravati, Maharashtra, India

1916-1994
dam-e-barq-o-bād hotā nafas-e-sharār hotā
kisī rañg se to jiinā mujhe sāzgār hotā
mujhe us kī be-ruḳhī kā bhī jo e'tibār hotā
maiñ duā ko haath uThā kar na gunāhgār hotā
na balā se ashk thamte na duā qubūl hotī
maiñ ḳhulus-e-bandgī se to na sharmsār hotā
vo naqāb uTh bhī jaatā to nazar kahāñ se laate
tire rū-ba-rū bhī terā vahī intizār hotā
ġham-e-dostāñ ġhanīmat hai vatan se duur varna
mire dil pe kyā guzartī jo mirā dayār hotā
mujhe 'shor' de rahe haiñ vo fareb-e-tez-gāmī
ki jo do qadam bhī chalte to na e'tibār hotā
Top Urdushayar.com