na nishāt-e-chāra-sāzī na malāl-e-kam-nigāhī
mujhe us nazar ne maarā be-gunāh be-gunāhī
sar-e-anjuman ġhanīmat hai butoñ kī kam-nigāhī
ki sukūn-e-dil pe aatī hai nazar se bhī tabāhī
ye siyāsat-e-bahārāñ hai ḳhizāñ kī be-panāhī
ki jo jal uThe nasheman to chaman na de gavāhī
tirī anjuman se bāhar ka.ī āftāb nikle
na dhulī kisī sahar se kisī raat kī siyāhī
tire shahr se nikalte hī mizāj-e-dahr lā hī
na vo rabt-e-shabnam-o-gul na vo bād-e-sub.h-gāhī
tire shahr-e-ārzū meñ yūñhī kaT ga.ī haiñ rāteñ
na junūñ kī aañkh jhapkī na ḳhirad ne lī jamāhī
diye terī rahguzāroñ ke jahāñ jahāñ jale haiñ
na charāġh-e-but-kada hai na charāġh-e-ḳhānqāhī
na sanam-kade kī manzil na haram kā āstāna
vo nazar jahāñ uThī hai vahīñ ruk ga.e haiñ raahī
koī 'shor' ye to pūchhe dar-o-bām-e-khusravī se
ye lahū se kis ke raushan hai charāġh-e-kaj-julāhī