Manzoor Husain shor

maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi paDta hai

Manzoor Husain shor

Amravati, Maharashtra, India

1916-1994
ma.āl-e-shab ba-unvān-e-sahar kahnā hī paḌtā hai
koī rasta ho us kī rahguzar kahnā hī paḌtā hai
vo sannāTā ḳhirad kahtī hai jis ko ghar kī vīrānī
use bhī raunaq-e-dīvār-o-dar kahnā hī paḌtā hai
sulag jaatā hai siina jis kī ThanDī sarsarāhaT se
us ātish ko bhī yaañ bād-e-sahar kahnā hī paḌtā hai
sharīk-e-rahguzar koī nahīñ hotā magar phir bhī
yahāñ har rāh-rau ko ham-safar kahnā hī paḌtā hai
musallam gul-kadoñ kī lāla-sāmānī magar hamdam
sharār-o-barq ko bhī mo'atabar kahnā hī paḌtā hai
ba-har-sūrat guzar jaatī hai jo dil par guzartī hai
magar phir apne ghar ko apnā ghar kahnā hī paḌtā hai
kuchh aise bhī fasāne mahfiloñ meñ chheḌe jaate haiñ
ki jin ko ehtiyātan muḳhtasar kahnā hī paḌtā hai
ḳhamoshī ek majbūrī takallum ek mahrūmī
kisī se kah nahīñ sakte magar kahnā hī paḌtā hai
Top Urdushayar.com