bujhtī huī sham.eñ hotī haiñ Duube hue taare hote haiñ
mahfil ke ujaḌne se pahle āsār ye saare hote haiñ
barbād-e-mohabbat par aisā ik daur bhī aa hī jaatā hai
āġhosh meñ sūraj hotā hai palkoñ pe sitāre hote haiñ
ye zarf hai zarf-e-fikr-o-nazar har Dūbne vaalā kyā jaane
be-bahr bhī tūfāñ uThte haiñ be-mauj bhī dhāre hote haiñ
nazzāra to hai be-parda magar har dekhne vaalā kyā dekhe
jo zarf-e-nazar meñ aa na sakeñ aise bhī nazāre hote haiñ
tuġhyān-e-havādis kī hamdam itnī hī navāzish kyā kam hai
kashtī na sahī sāhil na sahī tūfāñ to hamāre hote haiñ