dīda-o-dānista dhokā khā ga.e
ham fareb-e-zindagī meñ aa ga.e
jab hujūm-e-shauq se ghabrā ga.e
kho ga.e ḳhud aur tum ko pā ga.e
chain bhī lene nahīñ dete mujhe
maiñ abhī bhūlā thā phir yaad aa ga.e
maiñ kahāñ jā.ūñ nazar ko kyā karūñ
aap to saarī fazā par chhā ga.e
dil hī dil meñ uf vo dard-e-nā-gahāñ
āñkhoñ hī āñkhoñ meñ kuchh samjhā ga.e
ruḳh se āñchal bhī na sarkā thā abhī
nīchī nazreñ ho ga.iiñ sharmā ga.e
uf ye ġhunchoñ kā tabassum ye bahār
haif agar ye ġhunche kal murjhā ga.e
jis qadar ġhunche khile the nau-ba-nau
merī āñkhoñ se lahū barsā ga.e
pūchhte kyā ho in ashkoñ kā sabab
vāqi.āt-e-rafta phir yaad aa ga.e
ab to shor apnā fasāna ḳhatm kar
un kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e