terā ḳhayāl thā ki yūñhī bad-gumān the
apne bhī kuchh usuul magar darmiyān the
shāḳheñ har ek raat yūñhī chīḳhtī rahīñ
vo phuul hī bike the jo zeb-e-dukān the
us ne azal se bhīñch ke rakkhī thī muTThiyāñ
hāthoñ kī har lakīr ke ham tarjumān the
sochoñ kī mauj mauj bahā le ga.ī unheñ
sāñsoñ kī garm ret pe jin ke makān the
poras ke hāthiyoñ ke sabhī gol kaT ga.e
jazbe mire ḳhulūs ke raushan chaTān the
jaane vo chor aa ke kidhar muḌ gayā 'bahār'
dahlīz tak to paañv ke vāzeh nishān the