zindagī ik ḳhvāb hai ye ḳhvāb kī tābīr hai
halqa-e-gesu-e-duniyā paañv kī zanjīr hai
kuchh nahīñ is ke sivā mere tasarruf meñ yahāñ
dil kā bas jitnā ilāqa dard kī jāgīr hai
putliyāñ āñkhoñ kī sākit ho ga.iiñ paḌhte hue
āsmāñ par kis zabāñ meñ jaane kyā tahrīr hai
mujh ko goyā.ī pe uksāyā thā dil ne ek baar
aaj tak hoñToñ pe qaa.em lazzat-e-taqrīr hai
ab na jaane kis taraf le jaa.eñ vahshī āñdhiyāñ
shāḳh se TuuTā huā pattā bahut dil-gīr hai
sab bahādur haiñ yahāñ zikr-e-ajal hone talak
buz-dilī is ko kahūñ yā ḳhuun kī tāsīr hai