Aqsa Faiz

ye ishq hota hai bin sikhae ki us ka koi nisab kaisa

Aqsa Faiz

Lahore, Punjab, Pakistan

1995
ye ishq hotā hai bin sikhā.e ki us kā koī nisāb kaisā
har ik hai is raah kā musāfir faqīr kaisā navāb kaisā
usuul hai ye dayār-e-dil kā ki aane vaalā gayā na vāpas
har ik sitam muskurā ke sahnā savāl kaisā javāb kaisā
sukūn-e-dil kā maqām pūchho vafā kī manzil ke rāhiyoñ se
kaThin hai har din masāfatoñ kā ye ratjagoñ kā azaab kaisā
huā hai charchā zamāne bhar meñ tumhārī be-nām chāhatoñ kā
to mujh se kyoñ tum chhupā rahe ho nigāhoñ meñ hai ye ḳhvāb kaisā
vafā kī rāhoñ pe chal paḌe ho to dekho dil ko sambhāle rakhnā
qadam qadam dard-e-nā-rasā.ī yahāñ thakan kā hisāb kaisā
Top Urdushayar.com