udāsī ke jazīre par ġhamoñ ke saa.e gahre haiñ
nigāhoñ ke samundar meñ lahū-rañg ashk Thahre haiñ
kahīñ tanhā.iyoñ ne vahshatoñ se dostī kar lī
kahīñ dil par guzishta mausamoñ ke ab bhī pahre haiñ
kahīñ barkhā kī rut ne dil kī duniyā ḳhuuñ meñ nahlā dī
kahīñ vīrān rāhoñ par qadam sadiyoñ se Thahre haiñ
sajāyā hai kahīñ āñkhoñ ne ḳhud ko māh-o-anjum se
isī ummīd par ki aane vaale din sunahre haiñ
bharosā kar to luuñ lekin batāo kis pe karnā hai
ki har chehre ke pīchhe hī na jaane kitne chehre haiñ