mohabbatoñ kā hasīñ magar muḳhtasar sā hai ye fasāna chhoḌo
bichhaḌ ke tum se haiñ jī rahe ham guzar gayā ik zamāna chhoḌo
tumhārā har ik sitam sahā hai baḌī aziyyat hai tum se paa.ī
mire sitamgar hue haiñ ghāyal hameñ ab aise satānā chhoḌo
vo jis jagah se guzar hamārā rahā thā ik bas tumhārī ḳhātir
hamārā dil ye kahe hai ham se ab us kī galiyoñ meñ jaanā chhoḌo
kabhī banāte ho ham ko apnā kabhī chhuḌāte ho apnā dāman
thakā rahe ho hameñ yā ḳhud ko hai jo bhī ab āzmānā chhoḌo
ajab sī ik kashmakash meñ gum the sabhī fasāne sabhī tarāne
so ham ne bhī hai bhulāyā us ko bas ik thā qissa purānā chhoḌo