ab haqīqat lag rahā hai merā afsāna mujhe
saarī duniyā kah rahī hai terā dīvāna mujhe
maiñ uThā to kaun hoñToñ se lagā.egā unheñ
muddatoñ DhūñDā kareñge jām-o-paimāna mujhe
ye mohabbat kā asar hai yā mirā dīvāna-pan
sehn-e-gulshan sā nazar aatā hai vīrāna mujhe
ai udāsī kaun sī manzil pe le aa.ī hai tū
apnā chehra bhī nazar aatā hai begāna mujhe
TuuTe paimāne shikasta jaam aur tanhā.iyāñ
apne ghar jaisā hī ab lagtā hai mai-ḳhāna mujhe
jīte-jī armān ye 'sāhil' na puurā ho sakā
mar ke shāyad hī mayassar ho tirā shāna mujhe