har ek haath meñ patthar hai kyā kiyā jaa.e
ye aa.ine kā muqaddar hai kyā kiyā jaa.e
banā liyā hai use markaz-e-nazar maiñ ne
sarāpā husn kā paikar hai kyā kiyā jaa.e
vo chāhe jaan bhī le le mirī to hai manzūr
mirā bharosa usī par hai kyā kiyā jaa.e
agar vo chāhe bhī ik pal to jī nahīñ saktā
ajal kā vaqt muqarrar hai kyā kiyā jaa.e
chalā gayā hai vo maqtal se qatl kar ke mujhe
ye jurm bhī mire sar par hai kyā kiyā jaa.e
koī mahal meñ rahe aur kisī ko chhat na mile
ye apnā apnā muqaddar hai kyā kiyā jaa.e
jo faḳhr kartā rahā hai mire usūloñ par
vo shaḳhs mujh se bhī behtar hai kyā kiyā jaa.e
junūn mujh ko hai sāhil talak pahuñchne kā
magar ye ġham kā samundar hai kyā kiyā jaa.e