ye dard kā hai musalsal jo silsila kyuuñ hai
Thahar Thahar ke koī dil meñ jhāñktā kyuuñ hai
nahīñ hai koī ta.alluq agar mirā tujh se
to phir ye chehrā tirā zard zard sā kyuuñ hai
fareb khā ke bhī va.ade pe e'tibār kiyā
subūt phir bhī vafā kā vo māñgtā kyuuñ hai
agar hai jītnā maqsad to phir batā.e koī
vo jān-būjh ke baazī ko hārtā kyuuñ hai
ajiib log haiñ us par savāl karte haiñ
kabhī to socheñ ki āḳhir vo ġham-zada kyuuñ hai
agar hai daur-e-taraqqī to daur-e-hāzir meñ
batāo mujh ko ki har samt karbalā kyuuñ hai
hai ḳhuun ek hī jaisā ragoñ meñ jab 'sāhil'
to phir ye soch sabhī kī judā judā kyuuñ hai