aisā nahīñ salām kiyā aur guzar ga.e
jab bhī mile kisī se to dil meñ utar ga.e
zulm-o-sitam ke aage kabhī jo jhuke nahīñ
un ke nasīb un ke muqaddar sañvar ga.e
kirdār bech dene kā anjām ye huā
dil meñ utarne vaale nazar se utar ga.e
kuchh kaifiyat ajiib rahī apnī dosto
kī dostī kisī se to had se guzar ga.e
bachchoñ kī bhuuk maañ kī davā aur haath tañg
ye marhale bhī ham ko gunahgār kar ga.e
kuchh zindagī to mujh se masā.il ne chhīn lī
jo bach ga.ī thī hādse barbād kar ga.e
'sāhil' jab un ko koī Thikāna nahīñ milā
ġham un ke saare mere hī dil meñ Thahar ga.e