Mohammad Ali Sahil

justuju teri tarah gham teri qurbat kya hai

Mohammad Ali Sahil

Etawah, Uttar pradesh, India

1964
justujū terī tarah ġham tirī qurbat kyā hai
sochtā rahtā huuñ āḳhir ye mohabbat kyā hai
ham ne logoñ se bahut zikr sunā thā lekin
un ko dekhā to ye jaanā ki qayāmat kyā hai
vahshī duniyā hai tirā pyaar nahīñ samjhegī
apne jazbāt dikhāne kī zarūrat kyā hai
ye bhī qudrat kā karishma hai ki duniyā meñ koī
aaj tak ye na samajh paayā ki qudrat kyā hai
tū ne duniyā kī havas dil meñ basā rakkhī hai
tere īmān se baḌh kar tirī daulat kyā hai
ik tirī zaat se qaa.em hai vajūd insāñ kā
varna insān kī duniyā meñ haqīqat kyā hai
jism kā husn tirī ruuh talak hai sāhil
ye nahīñ ho to ye miTTī kī imārat kyā hai
Top Urdushayar.com