Mohammad Ali Sahil

mazaq-e-gham uDana ab mujhe achchha nahin lagta

Mohammad Ali Sahil

Etawah, Uttar pradesh, India

1964
mazāq-e-ġham uḌānā ab mujhe achchhā nahīñ lagtā
kisī kā muskurānā ab mujhe achchhā nahīñ lagtā
kabhī nīndeñ churānā jin kī mujh ko achchhā lagtā thā
nazar un kā churānā ab mujhe achchhā nahīñ lagtā
jinheñ mujh par yaqīñ hai merī chāhat par bharosa hai
bharam un kā miTānā ab mujhe achchhā nahīñ lagtā
nasheman mere dil kā jab se tinkā tinkā bikhrā hai
koī bhī āshiyāna ab mujhe achchhā nahīñ lagtā
mohabbat karne vāloñ ne jo chhoḌe haiñ zamāne meñ
nishāñ un ke miTānā ab mujhe achchhā nahīñ lagtā
tirī duniyā se shāyad bhar chukā hai merā dil 'sāhil'
yahāñ kā āb-o-dāna ab mujhe achchhā nahīñ lagtā
Top Urdushayar.com