hādsa to bas ik bahāna thā
ruuh ko jism chhoḌ jaanā thā
be-asar sab davā.eñ hotī rahīñ
zaḳhm kam-baḳht bhī purānā thā
kaise kahtā maiñ alvidā.a us ko
us ke dil meñ mirā Thikāna thā
qatra-qatra thā ġham samundar meñ
sīpiyoñ meñ use sajānā thā
muflisī meñ akelā chhoḌ aa.e
saath jis kā tumheñ nibhānā thā
rāh-e-pur-ḳhār thī magar mujh ko
apnā dāman bhī ḳhud bachānā thā
vo na samjhā usuul kī ḳhushbū
us kā andāz tājirāna thā
ham manāte rahe jise har-dam
us kī aadat meñ ruuTh jaanā thā