log uTThe haiñ tirī bazm se kyā kyā ho kar
aur ik ham haiñ ki nikle bhī to rusvā ho kar
tīr-e-mizhgāñ kā hai ye ghaav bhare to kaise
ab to nāsūr banā zaḳhm ye gahrā ho kar
shauq-e-dīdār-e-talab hadd-e-adab se jo baḌhā
husn ne tāb-e-nazar chhīn lī jalva ho kar
mujh se pūchhe to koī kaun ho tum kyā ho tum
maiñ ne pahchān kiyā tum ko tumhārā ho kar
ḳhaar kī tarah khaTaktā huuñ nigāh-e-dil meñ
gul pe qurbān huuñ maiñ bulbul-e-shaidā ho kar
rā.egāñ ḳhud ko na kar bazm-e-vafā meñ ai dil
yuuñ na āñkhoñ se Tapak ḳhūn-e-tamannā ho kar
kah rahe haiñ ye hijābāt-e-tajallī mujh se
jalva-e-husn hai ḳhud husn kā parda ho kar
fitratan ishq-e-girāñ gosh-e-azal hī se hai
tālib-e-lutf do-gūna hai vo bahrā ho kar
tum farishte hī sahī maiñ huuñ bahar-hāl bashar
guftugū mujh se karo jab bhī to mujh sā ho kar
mudda.ī ho jo vafā ke to sitam sahte raho
lab pe aa.e na koī harf bhī shikva ho kar
nit na.e rañg bhare is meñ tasavvur ke mire
dil meñ tasvīr rahī husn-e-sarāpā ho kar
kabhī ban ban ke miTo misl-e-habāb ai 'rif.at'
rañgzāroñ meñ raho naqsh-e-kaf-e-pā ho kar