mohabbat meñ vafā vāloñ ko kab iizā satātī hai
ye vo haiñ jin ko suulī par bhī chaḌh kar niiñd aatī hai
junūn-e-ishq kī manzil se vāqif hī nahīñ koī
hamārī chāk-dāmānī pe duniyā muskurātī hai
masāfat rāh-e-ulfat kī nahīñ āsāñ dil-e-nādāñ
mohabbat har qadam par saiñkḌoñ fitne uThātī hai
ḳhudā ma.alūm kab parda uThegā diid kab hogī
nigāhoñ se jo ojhal hai usī kī yaad aatī hai
bahātā huuñ kabhī aañsū kabhī phirtā huuñ maiñ vāpas
mohabbat kī ḳhalish aisā shab-e-ġham meñ satātī hai
miTe par bhī vahī hai rahnumā.ī kā asar is meñ
musāfir ko hamārī ḳhaak bhī sattā batātī hai
zamāne ko adam ābād meñ ik roz aanā hai
suno shahr-e-ḳhamoshāñ se yahī āvāz aatī hai
uThā parda to ab dekhā nahīñ jaatā qayāmat hai
mirī nākāmiyoñ par vo tajallī muskurātī hai