Abdullah Javed

ek sail-e-be-panah ki surat rawan hai waqt

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
ik sail-e-be-panāh kī sūrat ravāñ hai vaqt
tinke samajh rahe haiñ ki vahm-o-gumāñ hai vaqt
parkho to jaise teġh-e-do-dam hai khiñchī huī
Taalo to ek uḌtā huā sā dhuāñ hai vaqt
jo dil hadaf huā ho vo shāyad batā sake
nāvak bhī aap aap hī chaḌhtī kamāñ hai vaqt
ham us ke saath haiñ ki vo hai apne saath saath
kis ko ḳhabar ki ham haiñ ravāñ yā ravāñ hai vaqt
tārīḳh kyā hai vaqt ke qadmoñ kī gard hai
qaumoñ ke auj-o-past kī ik dāstāñ hai vaqt
agle suḳhan-varoñ ne jise āsmāñ kahā
sach pūchhiye to aaj vahī āsmāñ hai vaqt
hamdam nahīñ rafīq nahīñ ham-navā nahīñ
lekin hamārā sab se baḌā rāzdāñ hai vaqt
kal kā.enāt apne jilau meñ liye hue
'jāved' hast-o-būd kā ik kārvāñ hai vaqt
Top Urdushayar.com