ham kyā kaheñ ki ābla-pā.ī se kyā milā
duniyā milī kisī ko kisī ko ḳhudā milā
ham ḳhud ko dekhne ke to laa.eq na the magar
har aa.ina hamārī taraf dekhtā milā
aisā thā kaun ruuh ke andar jo dekhtā
har sat.h meñ vagarna hameñ jāñchtā milā
insān aur vaqt meñ kab dostī rahī
har lamha aadmī kā lahū chāTtā milā
insāñ samajh ke ham ne use dil meñ rakh liyā
insāñ ke ruup meñ magar ik devtā milā
dildār bhī mile hameñ par is ko kyā kareñ
koī ḳhayāl sā to koī ḳhvāb sā milā