Abdullah Javed

chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
chamkā jo chāñd raat kā chehra nikhar gayā
māñge kā nuur bhī to baḌā kaam kar gayā
ye bhī bahut hai saiñkaḌoñ paude hare hue
kyā ġham jo bārishoñ meñ koī phuul mar gayā
sāhil pe log yūñhī khaḌe dekhte rahe
dariyā meñ ham jo utre to dariyā utar gayā
saaya bhī aap kā hai faqat raushnī ke saath
DhūñDoge tīrgī meñ ki saaya kidhar gayā
ham jis ke intizār meñ jaage tamām raat
aayā bhī vo to ḳhvāb kī sūrat guzar gayā
ham ne to gul kī chāñd kī taare kī baat kī
sab ahl-e-ajnuman kā gumāñ aap par gayā
ghar hī nahīñ rahā hai salāmat batā.eñ kyā
'jāved' ke ba.ad sail-e-balā kis ke ghar gayā
Top Urdushayar.com