Abdullah Javed

kabhi pyara koi manzar lagega

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
kabhī pyārā koī manzar lagegā
badalne meñ use dam bhar lagegā
nahīñ ho tum to ghar jañgal lage hai
jo tum ho saath jañgal ghar lagegā
abhī hai raat baaqī vahshatoñ kī
abhī jāoge ghar to Dar lagegā
kabhī patthar paḌeñge sar ke uupar
kabhī patthar ke uupar sar lagegā
dar o dīvār ke badleñge chehre
ḳhud apnā ghar parāyā ghar lagegā
chaleñge paañv us kūche kī jānib
magar ilzām sab dil par lagegā
ham apne dil kī bābat kyā batā.eñ
kabhī masjid kabhī mandar lagegā
agar tum mārne vāloñ meñ hoge
tumhārā phuul bhī patthar lagegā
kahāñ le kar chaloge sach kā parcham
muqābil jhuuT kā lashkar lagegā
halākū aaj kā baġhdād dekhe
to us kī ruuh ko bhī Dar lagegā
zamīñ ko aur ūñchā mat uThāo
zamīñ kā āsmāñ se sar lagegā
jo achchhe kaam hoñge un se hoñge
burā har kaam apne sar lagegā
sajāte ho badan bekār 'jāved'
tamāshā ruuh ke andar lagegā
Top Urdushayar.com