chāndnī kā raqs dariyā par nahīñ dekhā gayā
aap yaad aa.e to ye manzar nahīñ dekhā gayā
aap ke jaate hī ham ko lag ga.ī āvārgī
aap ke jaate hī ham se ghar nahīñ dekhā gayā
apnī saarī kaj-kulāhī dāstāñ ho kar rahī
ishq jab maz.hab kiyā to sar nahīñ dekhā gayā
phuul ko miTTī meñ miltā dekh kar miTTī hue
ham se koī phuul miTTī par nahīñ dekhā gayā
jism ke andar safar meñ ruuh tak pahuñche magar
ruuh ke bāhar rahe andar nahīñ dekhā gayā
jis gadā ne aap ke dar par sadā dī ek baar
us gadā ko phir kisī dar par nahīñ dekhā gayā
aap ko patthar lage 'jāved' jī dekhā hai ye
aap ke hāthoñ meñ go patthar nahīñ dekhā gayā